Yeh jo loag dil wo jaan ke bahut qareeb hotey hain na!!....
Bichhad jaya karte hain. 💔
Yeh, Raat ko aankhein band hotey huwe aakhiri khayal aur subah aankh khultey hi pehla khayal jin ka hota hai,
Pehla message, Pehla salaam, Pehli khushi, Pehli fikar 😍, Aur kabhi kabhi pehla dard bhi sab kuch badal jata hai.😔
Woh jo hamari awaz ke deewaney hotey hain na!!....
Ek din ata hai, Dil bhar jata hai unka. 💔
Jo hamare zara si der gayab hone par pareshan ho jatey hain na...!!!
Miss You ke messages karte hain na,.. Haan yeh sab.... Haan sab khatam ho jata hai. 😢
Jo hamari bato'n ke deewane hotey hain na...!!!!
Ek waqt ata hai.... Un'hein wo baatein bas baatein hi lagti hain.😔
Kya kya batau'n tumhein?!!!... Loago...Sab khatam ho jata hai.....
Dil me zara si baat aney ki der hoti hai bass.. Aur tum galat ho jatey ho...,
Tumhein pata chalta hai... Ke tumhari auqaat kya hai??😔
Ham anna le aatey hain rishton me bhi....
Rishtey nibhane ke liye to jhukna padta hai na,
Ham janey kyun chahtey hain ke hamesha dusra hi jhuke😒
Tumhein batau'n? Kabhi kisi ko ye na bata dena ke woh tumhare liye kiya hai...
Toot jaowge... 💔
Haan... Haan.. Toot jaowgey...
Tum... Haann tum hi....meri zindagi ka woh khasara ho..Jo saari umar meri kamar seedhi nahi hone
dega... 💔🔥